Monday 16 November 2009

Prospectus


AAj aik nayi Prospectus dekhi tu khayal aya,
kabi ham ne bi khareedi thi aisi hi aik prospectus,
kitne khawab machal rahe they ane wali zindagi se,
kaisi kaisi rutein ho gi socha karte they,
aaj jo aik baar phir yadein taza huen,
dil najane kyo machal sa gaya,
ik zindagi guzarne k baad,

magar ik dilaasa ab dil ko lahaq ha,
kuch naye chehrey,naye sapne aur naye iraade honge,
ham na hoon,na sahi ham jaise honge,
kia phir wohi kajrey,nakhrey,anchal honge,
ya phir wohi jhagray,nafratein hongi,
aaj aik nayi prospectus dekhi to khayal aya

Tuesday 14 July 2009

Mai ,Numl aur wo


Shoula bayan Shair Yaseen Ch ki ahri nazam

Jab kabi Numl ka nam sunta hoon,
Yadoo ka aik seelab dastak deta hai,

Wo beech beech chalte rehna,
Wo aik hi chehre ki talash me,

mai,Numl aur wo,
Jab kabi milna sab kuch keh dena,
Ankho kay iharoo se sab bata dena,

Ik arsa hua Numl kay beghair,
magar aaj bi taza hai,
Mai,Numl aur wo

Kia haseen din they,
kia haseen ratein thi,

Wo har mor par teri meri ghatein,
na wo zamana raha na tm rahe,

Dil ko na jane kyo tm bhoolte nahi,
chal chor bi de ab purani batein,

magar dil aik hi bat kehta hai,
Mai,Numl aur wo